Kya hoga tumlogon se door hone ke baad...

PSYRS

Kya hoga tumlogon se door jane ke baad
Bas yahi dar dil me bhara rehta hai
Honge who din na itne rangeen
Bas yahi gam zara rehta hai

Toh aao in lamhon ko kuch aise sajayen
In palon ko itna khubsurat banaye
Ki jab bhi yeh waqt hume yaad aaye
Hum panchon khilkhilaker muskuraye
Chahe hum zindagi me kitne bhi age badh jaye
Ek dusre ko kbhi na bhulaye
Kuch hi samay hai saath me ise khulker jeelo yaron
Kya pata yeh waqt…yeh mauka wapas aye na aye

Ab ho chuki hai tums ab ki adat kuch aisi
Ki chutti hone par bhi khushi kam gham zyada hai
Par soch liya hai maie hai meri chahat kuch aisi
Ki kbhi peecha nhi chodungi ye mera wada hai

Afsos ki par sach hai…samay pankh lagaye udh jaega
Hum ek dusre ko chidhate masti krte rahenge or who din aa jaega
Hume ehsaa bhi na hoga ki alag hai rahein ab hamari
Pata nhi who pal mujhe…jume kitna rulaega…
Hume abhi ehsaas nhi ye waqt kitna khushnaseeb hai
Ehsaas tab hoga jab ye waqt chala jaega

Bhale hi khale hum 5 star ka hifi khana
Par rashi ke tiffin ka bread pizza kon khilaega
Bhale hi sunle hum sonu Nigam ke live comments
Magar snehanshu ki tarah sharmaker gaane kon sunaega
Bhale hi dekhle hum kapil Krishna ke live comedy shows
Magar Siddharth ki tarah kon hasaega
Bhale hi khareed le hum MF Hussain ki paintings
Magar Priyanshi ki tarah apni paintings dikhaker zabardasti tareef kon karaega
Jab bhi baithoge tumlog chinese khane
Har chilly paneer ka piece sirf meri yaad dilaega

Mushkil se milti hai aisi dosti
Naseeb se milte hai aise dost
Is dosti hamari har baat ko sanjhon kar rakh lena

Kya pata apne bacchon ko batane ke kaam aega

Comments

Popular posts from this blog

OVERFLOWING SENTIMENTS:

3 prank call ideas which I tried and you must try too!

BHOT ZARURI HAI